NAYA DAUR!!

 

Aaj ki tareekh h is zindagi ka nazrana

Is Naye daur me, chal bnae apna hee afsana

Pal do pal ke dukh ka h nhi koi thikana

Is Naye daur me, chal bnae apna hee afsana


Dil m h jo mere, lafz nahi kr skte bayan

Rooh m mere  chipe hain anek daastan 

Jo h hr kaafir ki zubaan


Ae zindagani tu kyon hoti h pareshan 

Dhoondhta hu bs ek aashiyan

Koi to bta de kya h us raah ke nishaan

Koi to bta de kya h us raah ke nishaan


Chup hoon par bolti h dil ki dhadkane

Zaalim ye duniya h janaab,

Sukoon ki aadat to  nhi 

Lekin Ishq ka rang hee to h is kaafile ki shehnai



Is musafir ki koi to sun le fasaane

Asa bhi kya gunah kya is aalim ne

Nazre jhuki hui aur Mausam soona sa

Lekin is Dil m h mahaubbat ka ek naya naya savera 

Guzarish h ki bs raaste pr chlte rho janaab

Yuhin hardam  milta rhega ek naya basera

Yuhin hardam  milta rhega ek naya basera


Is Naye daur me, chal bnae apna hee afsana


Is Naye daur me, chal bnae apna hee afsana

Comments

Popular posts from this blog

Whispers of the Heart

Love - A Heaven's Smile

As Sweet As Failure!